Pages

Tuesday, October 23, 2012


Rafaqaton ki haseen rut mn

muhabaton k gulab sary,

Wafa ki dori se bandh rakhna.

K raston mn bikher na jayen

Ek rasty k 2 musafir,

Khiyal rakhna bicher na jayen

Ye jhilmilaty se chand tary,

Ye muskuraty se phool sary,

Neelgon se rang-e-fitrat,

Shufaq ki laali subha ka anchal

Gulabi mosam,ye urta badal,

Gawah hn meri muhabaton k,

Faqat hai itna he tumse kehna

Mujhe wafa ki saza na dena,

Yad rakhna hamesha mujh ko

KBHI B MUJHKO BHULA NA DENA.

Jalte honton pe tabassum jo machalta h kabhi,

Zakhm dhul jate hen sawan jo barasta he kabhi,

Mene sochon maai tarashe hen khado khaal tere,

Mere bare main bata tu ne bhi socha he kabhi,

Charte suraj se kabhi tu ne milai he nazar,

Tu ne kirno ki taraf ghor se dekha he kabhi,

Log pathar main khilate hen umidon k gulab,

You bhi mumkin he bata aisa bhi hota he kabhi,

Tu ne samjha tha k main lot k aa jaon ga,

Aankh se bichra hua ashk b lota he kabhi.

Hai yaad mulaqaat ki woh shaam abhi tak

Mein tujhko bholane mein hoon nakaam abhi tak

Aa tujh ko dikhaon k tere ba’ad ay sitamgar

Weran paray hein ye dar-o- baam abhi tak

Gar tark-e-taaluq ko hoa ek zamana

Honton pe machalta hai tera naam abhi tak

Mehsos ye hota hai k woh hum se khafa hein

Kya tark-e-muhabbat ka hai elzam abhi tak

Maikhane mein bhoole se chale aye they “Mohsin”

Ahbab ki nazrao mein hein badnaam abhi tak…

Suna he uski ankhon se bujhi he peyaas sehra ki
jo kehti thi k pather hon mujhe rona nhi ata

aqal eyar hy soo bhess badal leti hy
ishq bechara na mula hy, na zahid, na hakeem